rssbeas #radha soami ji Prem ki Paheli lagbhag 3 ghante ki documentary film hai jis mein Dera Baba Jaimal Singh Beas ke shuruaat ke dino se lekar aaj tak ka vritaant darshaaya Prem ki Paheli in Hindi 3 HOURS Long – Radha Soami PremkiPaheli in Hindi 3 HOURS Radha Soami
Prem ki Paheli lagbhag 3 ghante ki documentary film hai, jis mein Dera Baba Jaimal Singh Beas ke shuruaat ke dino se lekar, aaj tak ka vritaant darshaaya gaya hai. Film ke pehle bhaag mein 1930 ke dashak se un sant-satguruon ke durlabh aitihaasik chitr dikhaaye gaye hain, jinhone samay-samay par santmat ka updesh diya. Saath hi beech-beech mein, vartmaan Dere ke drishya hain jin mein Dere ka vishaal satsang pandaal, langar, farm, school aur aadhunik rihaaish shaamil hain.
Har saal laakhon ki sankhya mein log Dere aate hain, aur kabhi-kabhi yah sankhya ek vaqt mein paanch laakh tak ho jaati hai. Apne satguru ke updesh ko sunne ke liye aur sangat ki nisswaarth bhaav se seva ke liye aaye logon ko, Dere mein bina kisi jaati ya dharam ke bhedbhaav se prem-poorvak bhojan karaaya jaata hai aur rihaaish uplabdh karvaayi jaati hai.
Dera ki buniyaad prem-pyaar, namrata, seva aur bhajan-simran par aadhaarit hai. Is film mein yah darshaaya gaya hai ki kis prakaar in usoolon ko prem ki paheli dvaara amal mein laaya jaata hai.